Google ke CEO Sundar Pichai Biography in Hindi
Sundar Raajan Pichai,
jinhe Sundar Pichai ke naam se jana jaata hai. Unhe 10 Aug 2015 ko Google ka
agla C.E.O chuna gaya. Bharat mein janme aur I.I.T kharagpur se B.tech
karne vaale Sundar Pichai ne 2004 mein duniya ki sabse badi search company
Google join kiya aur apni kadi mehnat aur yogyta ke bal par company ke sabse
bade pad ke liye chune gaye. Google se pahle unhonne bhut si companyio mein
kaam kiya.
Early Life
Sundar Raajan Pichai ka janm 12 July 1972 me Chennai mein ek tamil parivaar mein hua tha. Unke pita ka naam Raghunath Pichai aur Maata ka naam Lakshmi hai. Sundar ke pita Raghunath Pichai British company ke General Electric Enginer ke roop mai kaam krte hai. Sundar ka bachpan madraas ke Ashok Nagar mein beeta. Unka parivaar do kamaro ke ek makaan mein rahata tha.
Usme Sundar ki padhai
ke liye koi alag kamra nahi tha. Isliye ve drawing room ke pharsh par apne
chhote bhai ke saath sote the.
Sundar Pichai ne Ashok
Nagar shift hokar waha se 10 taak ki padhai ki aur phir I.I.T Chennai mein
shift hokar baki 12th tak ki padhai ki iske baad Sundar ne I.I.T.
kharagpur mein admission liya aur Mechanical enginerring mein degree le li.
I.I.T khadagpur mein unke Professor ne unhe Stanford university se P.H.D karne
ki salaah di par Sundar ne M.S aur MBA kiya. Unhonne Stanford university se
‘Material Science and Enginerring’ mein mastar of science kiya aur Pennsylvania
university mai MBA (Manager) ki degree li.
I.I.T khadagpur ki
Hastiyaan
I.I.T Khadagpur ke
Metalrjee vibhaag se Sundar ki saphalta se pahle lambe samay tak IBM ki
Research Division ke pramukh rahe Praveen Chaudhary aur Vodafone ke CEO rahe Arun
Sareen bhi shaamil hain.
Google ke CEO banne se
pahle Microsoft ke CEO banne ki race mein bhi pichai ka naam shaamil tha lekin
baad mein unki jagah Saty Nadela ko chuna gaya.
Beach mein Twitter ne bhi unko apne paale mein karne ka pryaas kiya tha lekin jaankaaron ke mutaabik, Google ne 10 se 50 lakh Milion Dollar ka bonus dekar unko company mein bane rahne par sahmat kar liya.
Google mein Carrier
Beach mein Twitter ne bhi unko apne paale mein karne ka pryaas kiya tha lekin jaankaaron ke mutaabik, Google ne 10 se 50 lakh Milion Dollar ka bonus dekar unko company mein bane rahne par sahmat kar liya.
Google mein Carrier
Kahi Companiyon
mein kaam karte huye unhonne koi 11 saal pahle Google mein naukri shuru ki thi.
Pichari ke classmates aur baad mein unke saath Google mein 8 saal tak kaam
karne vaale Sejaar Senagupta kahte hai, “Google mein aisa ek bhi vyakti milna
mushkil hai jo Sundar ko pasand nahi karta ho ya unse prabhaavit nahi
ho’’. Unke dusre classmate Pee. Subramanyam batate hai, “Sundar ke chehre
par hamesha muskaan rahti aur hamlog majak mein use kitabi keeda kahte the’’.
Google ke CEO chune
jaane ke baad ab Sundar pichari ka naam bhale logo pi jubaan par hai lekin yah
bahut kam logo ko pata hai ki I.I.T mein padhai ke dauraan sabhi unko Pee.
Sundarraajan ke naam se jaante the.
Do kamro ke makaan se
nikal kar duniya ki sabse famous takniki company ke CEO tak ka Sundar ka saphar
kisi pareekatha se kam aakarshak nahi. Ab haal mein unhonne Chennai mein apne
maata-pita ke liye karodon ki laagat vaala ek makaan khareeda hai.
Sundar Pichai ne 2004
mein Google join kiya jaha unhe Production Manager aur New Inventions se
sambandhit kaaryo ki jimmedaari di gayi. Iske tahat unhonne Google Chrome,
Chrome O.S. aur Google Drive jaise production ke vikaas mein bhut
important bhoomika nibhayi. Iske saath-saath unhonne Google Maps aur
Gmail jaise important product ki application devlopment mein bhi
important bhoomika nibhayi. 19 Nov 2009 mein Sundar pichai Chrome O.S. ko
launch kiya aur uske baad Chrome Book ko 2011 mein jaanch v parikshan ke liye
utaara gaya. Jaanch aur parikshan ke baad 2012 mein isse customers ke
liye utaara gaya. May 2010 mein Pichai ne Google ke naye Video Codec Vp8 ke
open sourcing ka elaan kiya. Google ke is Video Codec ne ek naya Video Format
Webm prastut kiya.
Mar 2013 mein
Android bhi Sundar Pichai ke antrgat aane vale output mein shaamil ho gaya.
Isse pahle Android ka kaam aur uska vikaas Endee Rubin ke prabandhan mein
ho raha tha. 2014 Microsoft ke mein agle C.E.O. ke taur par Sundar
pichai ka naam khabaron mein raha.
Pichai apne naye pad
ko Alphabet inc ke sthaapna ke baad sambhaalenge. Alphabet inc ab Google ke
sabhi products aur companiyon ki holding company hogi jiske C.E.O Larry Page
honge.
Vyaktigat Jeevan
Agar aapko hamari yeh post pasand
aayi ho ya isse related ko problem ho toh aap humhe niche diye huye Comment box
mai bta sakte h or humhe social media pr bhi follow kr sakte h.