Sandeep Maheshwari Biography in hindi
Sandeep Maheshwari Biography in Hindi
Sandeep Maheshwari
India ke sabse tejee se badhte businessman mai se ek hai. Vah imagesbazaar.com
ke founder aur CEO dono hai, ye pahli aisi website hai jisme bahut jyaada
collection hai indian images ka imagesbazar.com me aur usme se 1 million images
hai indian model ki aur pure India me 15000 photographers hai Sandeep Maheshwari
ke.
Sandeep Maheshwari ne
India me aane wale top businessman ki list mai shaamil hai! Sandeep Maheshwari
un Karodo logo me se ek hai jinhone bahut jyaada sangharsh kiya, bahut baar
asaphal bhi huye lekin baad me unhonne apni taqdeer badal hi daali ! Ve ek
middle family se belong karte the unhe bhi apni life me bahut utaar chadhaav
aaye aur unhone dat kar saamna kiya aur aakhirkaar saphal ho hi gaye aur ve
apni saphlata apne paas tak nahi rakhte vo apne experiences sab logo me
baahte hai Seminar ke duaara.
Unki ek baat jo sabse
achhi lagi ki unhonne ek Seminar me kaha tha jo mushkile maine jhelee hai na vo
mai aur logo ko nahi jhelne duga unke bure vaqt me mai saamne khada ho jaahunga
aur unka saath duga. Aur aaj unhonne 40 se bhi jyada motivational Seminar de
chuke hai aur unse laakho log unke Seminar se Inspire hue hai.
Sandeep Maheshwari Biography
Sandeep Maheshwari ke Father aur Grand Father sab hi Aluminium ke company mai kaam karte the, jo baad mai band ho gaee aur phir family ki jaroorato ko pura karne ka saara burdun un par aaya. Aur unpe jitna hua unhonne kiya. Ve koi saamaan banaane vaali Multi-National company mai shaamil huye ve har tarah ka kaam karte gaye jo unhe milata raha. Delhi ke kirori mal college se Graduation kar rahe the lekin ve puri nahi kar paye the.
Sandeep Maheshwari Early life
Agle saal 2002 mai,
phir unhonne apne 3 karibi dosto ke saath milkar 2002 mai ek brand nayi company
start ki thi, lekin yah bhi keval 6 mahine mai band ho gayi thi. Lekin Sandeep
Maheswari ka dimaag abhi bhi khula hi tha aur ek nayi Sankalpana dil se
“sharing” ke saath unhonne apne ab tak ke pure anubhavo ko ek marketing book
mai likha. Tab ve sirf 21 saal ke the.
Unhonne 19 saal ki
umar mai model ke roop mai apna carrier suru kiya. Jaha model ki pareshaaniyo
ka anubhav unhe mila aur yahi unke jeevan ka turning point bana jaha unhonne ye
decide kiya ki ve dusre model jo sangharsh kar rahe ho unhe inspire karenge aur
chhota hi sahi, lekin yahi unka aim ban gaya tha. aur baad mein 2 week ke
photography claas ke baad unhonne kahi bahut sundar picture apne camera se
nikali, unme koi badlaav nahi aaya tha. ve to bas apni modeling duniya ko
badlane ke pryaas mai aage badhte gaye aur isi prkaar unhonne kuch time baad
apni khud ki company maish audio private limited start ki.
2003 me unhonne aisa
kaam kiya jisse unka naam World Record me likha gaya unhonne sirf 10 ghante 45
minute mai 122 models ki 10000 se bhi jyaada photo lekar apni ek company ko
start kiya aur ve is kaam me itne anuroop ho gaye ki ve kabhi nahi ruke. Unka
dhyaan keval logo ke kuch samay ke aakarshan par nahi tha, balki ve to apne
vichaaro se puri modeling duniya hi badalna chaahte the.
26 saal ki age mai
unhonne Imagebazaar.com ko start kiya. Vo saal 2006 tha. Apna business
achhee tarah se set na hone ke kaaran vo kayi kaam ek saath karne lage. Ve ek
vakil bane, tele-caller bane aur photographar bane. Aur aaj, Imagebazaar.com
mai bharat ki 1 crore se bhi jyaada photo hai jo ki world mai sabse jyaada aur
saath hi 45 desho mai 7000 se bhi jyaada customer hai. unka aisa maanna tha ki,
“photography mai sirf kaam nahi bikta vaha naam bhi bikta hai, aur unhe apna
naam kamaana tha.”
Sandeep Maheshwari ne
modeling ki duniya mein khud ko hi apna aadarsh maana. Kyoki unke anusaar
mushkilo ka saamna kar ke ve behatreen model ban paye !
ye unki duniya badalne vaala pryaas hi to tha jisse unhe 29 saal ki age mai yuva bhaarat ka sabse Famous businessman chuna gaya. Baad main unki soch hi unke bhaashan ka kaaran bani jaise, “Asaphalta se kabhi nahi darna” aur “khud ke prati aur dusro ke prati satyavaadi hona”.
ye unki duniya badalne vaala pryaas hi to tha jisse unhe 29 saal ki age mai yuva bhaarat ka sabse Famous businessman chuna gaya. Baad main unki soch hi unke bhaashan ka kaaran bani jaise, “Asaphalta se kabhi nahi darna” aur “khud ke prati aur dusro ke prati satyavaadi hona”.
Ek saphal businessman
ke saath-saath, duniyabhar ke lakho- crore logo ke salaahakaar, aadarsh aur
youth aaikan bhi hai. Ve lagataar logo ko inspire karte rahe aur unka
jeevan "aasaan" banaate gaye aur unke is achchhe kaam ke liye duniya
bhar se logo ka saath aur pyaar milta gaya. Saphalta ke is pahaad par chadne ke
baad bhi unhe kabhi paiso ka laalach nahi aaya. Aur isliye aaj unki inspire
karne vaali sanstha kisi munaaphe ke bharose nahi chalti. Vaha kaam karne vaale
har ek vyakti ke bich bhavnatmak bandhan hota hai jo unhe ek dusre se aur us
sanstha se jode rakhta hai, aur yahi unke liye jaruri hai.
• Et Now ‘‘channel ke Tomomoro Award’’ ke akele hakadaar.
• Global youth marketing phoram dvaara “Star Youth Achhivar’’ Award diya gaya.
• Bhaartye udyog samiti dvaara 2013 mai Creative Business ka
sammaan.
• British High Commision ke hi bhaag, british counsil dvaara "Creative yuva udyogapati" ka award
• British High Commision ke hi bhaag, british counsil dvaara "Creative yuva udyogapati" ka award
• Iske alawa bhi, ve kayi patrikao (patrika), Akhabaar aur
television channel jaise The Economics Times, India today, CNBC-Tv 18 mai bhi
unhe sammaanit kiya gaya.
Dosto, jab koi Normal insaan kuch bada karata hai to apne aap hi vo hamare-aapke jaise aam logo ke liye prerna ka strot ban jaata hai. Kyoki use dekhkar lagta hai, yaar ye to bilkul apni tarah ka banda hai, aur jab ye kar sakta hai to ham kyu nahi? Sandeep Maheshwari bhi bilkul vaisa hi banda hai ...
Middle claas parivaar ka ek aam sa banda jisne
apne jeevan mein kuch bada kiya hai aur jo hame bhi apnie life mein kuch bada
karne ke liye prerit karta hai