• Breaking News

    Albert Enisteen Biography in Hindi

    Albert Enisteen Biograhy in Hindi



    Name – Albert Hermann Einsteen.
    Date of Birth – 14 maarch 1879.
    Place – Ulm (Jermany).
    Father – Hermann Einsteen.
    Mother – Paulin koch.
    Education –
    * Switzerland se unhonne apni education start kee.

    * Zurich ke Polytechnical Academy mein chaar saal bitaaye.

    1900 mein Einisteen ne Switzerland se apni Graduation ki degree li.

    * 1905 me Einsteen ne Zurich University se P.H.D ki degree li.
    Do baar Shadhi ki pehli Mariak ke saath aur dusri Elisa Lovenn ke saath.
    Ensteen ka janm 14 March 1879 ko Jermany ke Youm Nagar mein hua tha. Unke Father Hermann Einsteen ek Enginner aur Salesman the jabki unki Mother Paulin Einsteen thee. Ensteen ke Father unhe ek Electrical Enginner banaana chaahte the, lekin Einsteen jis school mein padh rahe the unke father ko waha ka education system bilkul bhee pasand nahi aa raha tha!

    Einsteen ko Bachpan mein unhe apni mand buddhee bahut akhartee thee. Aage badhne kee chaah hamesha un par haavee rahtee thee. Padhne mein mann nahi lagta tha phir bhee kitaab haath se nahin chodhte the, mann ko samjhaate aur vaapas padhne lagte. Kuch hee samay mein apni practical knowledge ka positive result dikhayi dene laga! Unke teacher bhi unki is positive result se dang rah gaye aur unhonne aage chal ke math jaise hard subject ko chuna! Jab bhi unke teacher ko koi bhi  problem aati sab Enisteen ke paas hee jaate!

    Teacher kee kahi har baat ko follow karke Einsteen success ki seedhee chadhte rahe. Ve ek gareeb parivaar se the iss vajah se ve aage ki padhai puri nahi kar paye! Lakin ve lagan ke bahut pakke the iss vajah se unki koi problem unhe niraash nahi kar payi! Unhone Zurich Politechnical College mein admission le liya! Mauj-Masti par ve ek paisa bhi kharch nahi karte the, phir bhi admission ke baad apne kharche ko aur kam kar diye the. Unka ek aisa kissa jo sun kar sab hairaan ho jaate hai!






    Ek baar bahut tej baarish ho rahi thi. Einsteen ne apni toppi ko bagal mein dabye jaldi-jaldi ghar ja rahe the. Umbrella na hone ki vajah se bheeg rahe the. Raaste mein ek ladke ne unse pucha ki –“Bhai, tez baarish ho rahi hai toppi se sir ko dhakne ki bajaye tum use coat mein dabaakar chale ja rahe ho. Kya tumhara sir nahi bheeg raha hai? 
    Einsteen ne kaha–“Bheeg to raha hai lakin baad mein sookh jaayega, lekin toppi geeli huyi to kharaab ho jaayegi. Nayi toppi khareedne ke liye na to mere paas paise hai aur na hi time!’’
    Zurich college ke ek teacher ‘Mikotsi’ ne unki garibi ko dekh kr unki madad karna bhi shuru kar diya tha.
    Eduation puri hone par naukri ke liye thoda bhatakna pada tab bhi ve niraash ko kabhi apne paas nahi aane diya. Bachpan mein unke maata-pita ke dvaara mili shiksha ne unka manobal hamesha banye rakha. Unhone sikhaaya tha ki – “Ek agyaat shakti jise isshvar kahte hai, sankat ke samay us par vishvaas karne vaale logon ki adbhut sahaayta karti hai.
    Teacher aur maata-pita ki shiksha, Einsteen ko har situation ko paar karne ke liye motivate karti rahti. Unke vichaaron ne ek nayi khoj ko janm diya jise (Theory of Relaivity; E=mc^2) kahte hai. Puri duniya ke Scientist par is invention ka bahut gahra asar hua. Ek hi raat mein Einsteen bahut famous ho gaye. Jin sansthaon ne unhe kam dimaag ka kahkar Normal si naukri dene se mana kar diya tha ve sansthaen unhe invite karne lage. Zurich University se bhi unhe invitation mila jaha unhone teacher ki naukri chuni.





    1919 mein England ki Royal Society ne Einsteen ki sabhi khoj ko sach ghoshit kar diya tha. Jermany mein jab Hitler Shaahi ka yug aaya to iska asar Einsteen par bhi hua aur yahudi hone ke naate unhe jermany chodh kar unhe hamesha ke liye America mai rahna pada.
    Vaha ke pristan College mein aakhri samay tak apni sevaaye dete rahe, aur 18 April 1955 ko unki maut ho gayi!

    Albert Einsteen ke brain ki  rochak baate :-

    Albert Einsteen apne dimaag mein hi apni theories ka visual structure taiyaar kar lete the. Yah unke laboratery prayog se jyaada sateek hota tha.



    * Ek pathology ne Enisteen ke body ke pareekshan ke daura unka dimaag chura liya tha. Uske baad vah 20-22 saal tak ek jaar mein band raha.

    Albert Einsteen Awards:-

    1) Bhautika Nobel Puruskaar (1921)
    2) Matteucci medal (1921)
    3) Copley medal (1925)
    4) Max Planck medal (1929)
    5) Time person of the century (1999)

    Albert Einsteen Death :– 


    18 April, 1955 ko unki death Pristan Hospital mein huyi.


    Agar aapko hamari yeh post pasand aayi ho ya isse related ko problem ho toh aap humhe niche diye huye Comment box mai bta sakte h or humhe social media pr bhi follow kr sakte h.

    No comments