• Breaking News

    Blogging Guide in Hindi

    Blogging Guide in Hindi 

    Aaj hum aapko batayenge kee Google blogger ke duvara website kaise banate h.





    Google Blog ka use karke website banana

    Google blog ek free website hai jo blogging ki line me naye-naye aate hai vo sabse pahle blog ka hee use karte hai blog ka use karke humhe pata chalta hai ki website par kis tarah se kaam karte hai .

    Google blog par kaam karne ke liye sabse pahle humhe blog banana padega! uske liye sabse pahle:-


    (1) Gmail id banani padegi aur Gmail id banane ke liye sabse pahle www.gmail.com ko open kare

    (2) Open karne ke baad Create account ke option hoga us par click kare
                                                                                                                                   

    (3) Page open hone ke baad ek form diya hoga us form ko bharna padega jisme unhonne Name, Date of Birth aur Age poochhee hai unhe sab ko fill kare. Fill krne ke baad next step par click kar de!





    1. Apna naam  

    2. Apna surname (jaise singh, kumar)

    3. Apni Email id jis naam ki tum banana chahte ho Jaise – karun4857@gmail.com

    4. Jaisa password dalna chahate ho

    5. Dubara likho jo pahle daala tha password

    6. Jis month me hue tum vo month select kro.

    7. kaun si date jaise 23

    8. kaun se year me jaise 1997

    9. Apna Gender likhe

    10. Apna Phone Number

    11. Aapki koi pahli Gmail id ya kisee aur ki bhee chalegee
    Ab aapka Gmail Account ban chuka hai!

    (4) Gmail id banane ke baad ab aapako www.blogger.com ko open kare. open karne ke baad aapko apni Gmail Account jo abhi banaaya hai us id aur password ko daal kar use login kare! 




    Phir aapko confirm your profile ka option aaega usme sabse neeche Continue to blogger par click kre.  


    (5) Continue to blogger par click karne ke baad sabse uper Create New blog par click kare. 






    (5) Click karne ke baad
    1. Aap kis naam se blog banana chahte ho vo likho jaise fully motivation

    2. Apna blog ka url kaisa hoga jaise raftaarinspire.blogspot.com jo aap search karvana chahte ho!

    3. Aapka blog kaisa dikhega simple ya design


    Create blog par click kare ab aapka blog ban chuka hai.

    (7) Blog banane ke baad ab aap apni post daal sakte hai post daalne ke liye aapko new post par click karna padega.

    (8) Ab post daalne ke baad jo bhi aapki post dekhega usse aapke page views badte rahenge abhi suru-suru me aapke page view bahut kam hoge aur uski vajah se aap kuch earn nahi kar  sakte. kyoki abhi aapki post sirf ve hi dekh sakte hai jo blog use karte hai.

    (9) Paise kamane ke liye aapko google adsense activate karana padega. Kyoki google adsense activate karane ke baad aapke blog par advertisement lagane padenge. Jiski vajah se aapke blog ke page views badenge aur aap jyada paise kama payenge. Abhi iss samyh tumhara googe adsense activate nahi hua hai aap dekh sakte hai ki ye kaise pata chalta hai uske liye aapko Earning par click karna padega. Click karne ke baad aap dekh sakte hai ki Sign up for adsense ke option par click nahi hoga!

    (10) Ab baat ye hai ki google adsense activate kaise hoga. Google Adsense activate 60days me hota ab aapke paas do option hai activate karne ke :-

     Pahala hai 60 days ka wait karne ke baad aap paise kamane padenge!

     Dusra hai aap 3-4 din me hi Google Adsense ko activate karne ke liye aapko youtube ki help leni padegi. Uske liye aapko youtube par aapko 4-5 video upload karni padegi. Jab aapki har ek video ke views 500 se jyaada ho jaayenge tab aapse ve Google Adsense ko activate karane ko kahenge jab ek baar Google Adsense activate ho jaayega uske baad aap apna blog address daal sakte hai phir aap dekh sakte hai ki jo vo Sign up nahi ho raha tha vo ab sign up ho jaayega.


    Agar aapko hamari yeh post pasand aayi ho ya isse related ko problem ho toh aap humhe niche diye huye Comment box mai bta sakte h or humhe social media pr bhi follow kr sakte h.

    No comments