• Breaking News

    Bill Gates Biography in Hindi

    Bill Gates Biography in Hindi




    Introduction
    Microsoft company ke Founder & CEO Bill Gates ka janm 28 October, 1955 Washington ke ek bade parivaar mein hua, unke pita ka naam William H Gates aur maata ka naam Mary Maxwell tha. Pita ek vakeel aur maata ek Bank mai member thi.

    1975 mein Bill Gates ne Paal Alan ke saath milkar duniya ki sabse badi software company Microsoft shuru kee. Bill Gates personal computer ke software banane ki top list me shaamil hain, Bill Gates ki jyadatar baate unki business planings ke liye hi jaani jati rahi hai.

    32 saal pure hone ke phale hi 1987 mein unka naam Arabpatiyon ki forbs ki list mein aa gaya aur kahi saal tak vo is list mein numbar one par bhi rahe. 2007 mein unhonne 40 Arab Dollar (Approxly Rs.176 Arab)  daan mein diye. Bill Gates Microsoft ke CEO hain, jiska saal 2010 ka karobaar 63 Arab Dollar aur net profit kareeb 19 Arab Dollar tha.

    Bill Gates khaat -peete ghar ke hain. School mein unhonne 1600 mein se 1590 number paye the padhai ke chalte huye unhone computer programs banakar unhonne 4,200 dollar kama liye the aur teacher se kaha tha ki main 30 saal ki umar mein Crorepati bankar dikhahunga aur 31 saal ki umar mai ve Arabapati ban gaye. 1.5 ekad ke unke bangle mein saat bedroom, jim, swimming pool, Thretar etc.... hain. 15 saal pahle use kareeb 60 lakh dollar mein khareeda tha. Brij, Tennis aur Golf ke khiladi Bill Gates apne teen bachon ke liye apni puri jaaydaad chodkar nahi jaana chaahte, kyoki unka maanna ​​hai ki agar main apni sampatti ka ek percent bhi unke liye chhod dita to voh kaafi hoga. Unhonne do kitaben bhi likhi hain, The Road Ahead aur business @ Speed Of Thoughts. 16 saal tak Arabpatiyon ki soochi mein number one rah chuke Bill Gates hain.

    Early Life

    Bill Gates ka janm Washington mein, William H. Gates, senior aur Mary Maxwell Gates ke yahaan hua. Unka parivaar bahut hi paiso vaala tha, unke pita ek  vakeel the, unki mata pratham Interstate Bank System aur United ve ki Nideshak mandal me the.

    Gates ki ek badi bahn, Kristi aur ek chhoti bahn, Libby hai. Ve
     13 saal ki umar mein Lekeside School mein Admission liya. Jab ve 8th Class mein the, school ke mother clab ne Lekeside School ke raddee saamaanon ko bek kar mile paiso se school ke bachho ke liye ek computer khareeda.
    Gates ne computer ki Basic Programming language mein apni dilcuspi dikhai aur unhe unki is roochi ke liye math ki class ko chod kr unhonne apna saara dhyaan computer par dene lage! 

    Aur unhonne apna 100% de kar .Unhonne ek pahli computer chip banayi thee. Jiski keemat $ 200 se  kam thi, Vo basic ke liye bahut achhi saabhit huyi thi aur us samay vo chip computer ke liye bahut jyaada use hoti thi. Unhonne decide kiya ki yahi ek mauka hai samay ka fayda uthaane ka Bill Gates ne Paul Allen ke saath ek computer software company ko shuru karne ka faisala liya. Unhonne apne maata pita se iske baare me unse baat ki, jo ki Gates ke software company suru karne par unhonne Gates ka pura saath diya.


    Microsoft

    Business Carrier

    1975 mein Bill Gates aur unke dost Allen ki partnership me Micro Software ki company kholi jo ki Micro Computer aur software banati thi .

    February 1976, mein Bill ne computer mein roochi rakhane vaalo ke liye yah kahte hue letter likha ki " Bina kisi software ko khareede uska istemaal karana matlab kisi nayi software ko banane se pahle hi rok dena hoga". Itna hi nahi devolpers ki himmat to tab bhi toot jaati hai, jab kuch log Private Software ( Asli software ki copy ) banaate hain. Tab devlopers yahi ​​sochte hai ki hamne be-vajah hee apna important samay khrab kiya aur logo ko Quality software bana kar diya. Bill ne jo letter likha tha logo par uska koi kaash fark nahi padha, phir bhi Gates ko apni is baat par pura vishvaas tha. Jab un par yah anuchit aarop lage ki unke business chlanne ke tareke galat hain. To isee kamjori ko unhonne apni taakat banakar apna bachaav kiya .
    Bill ka MITS ke President ke saath jada aache sambandh nii the, aur kayi baar unke aise sambandh ki vajah se dono mein kaha sunee bhee hua kartee the. Iske saath hi Bill aur Robbert ne software develop aur advertisment chalane ke tareeko ko lekar bhi aksar takraav hota rahta tha. 

    1977 MITS company ke President Robbert ne apni company ek dusre computer company ko bech dee. Aur ve Medical College mein Admission lene ke liye Georgia laut gaye aur baad mein ve Doctor ban gaye. Robbert ke Georgia chale jaane ke baad Bill aur Allen ne jo Altair ke liye jo software banaaye the un software ke right praapt karne ke liye MITS ke aye maalik par mukdama kiya.


    "Microsoft" ne alag-alag tareeko mein sabhi computer companiyon ke liye software design kiye. 1978 ke last mein Bill ne apni company ka kaarobaar Bellevue, Washington  jo ki Seattle ke East mein hai, shift kar dee. Gates apni janmbhoomi, Pacific mein aakar bahut hi khush the. Company ke 25 young Workers par yah jimmedaari aa gayi the, ki kaise ve is Company ko aage badhaaye aur uske saath hi product ko develop kare, kaise unke business ko aage badhaaye aur kaise unke software ki marketing kare.
    Workers ki mehnat karne ke badulat aur Gates ke dvaara Workers ko di gayi Direction se unhonne sirf 23 saal ki umar mein $ 25 Lakh ka ek Gross Profit kama liya tha.

    Microsoft ki Shuruaat

    Bill Gates ki yogta n keval software banaane mein the. Balki uske saath-saath business ko bhi aage badhaane aur company ko top par le jaane ki bhi thi. Unhonne jo kaha unhonne vaisa kaam bhi kiya. Company mein workers dvaara banaaye gaye code ko ve jaroorat padhne par khud check karte aur Errors ko nikaal dene ka kaam khud hi kiya karte the. Gates ki mehnat aur lagan ki vajah se company ki tarakki din ba din Apple, Intel aur IBM jaisi hardware banane vaali company ki tarah badhti ja rahi thi.  Bill lagataar logo se Microsoft dvaara banayi gayi application ke baare mein feedback liya karte aur logo ki jarurato ke hisaab se apps mein badlaav kiya karte the aur is kaam mein inki maa bhi kayi baar unke saath chali jaaya karti the. Unki maan Mary bahut hi ijzatdaar vyaktiyon mein se ek ke saath, unke IBM Board ke members ke saath ache sambandh the. Mary ke hi kaaran Gates IBM ke CEO se mil paye.

    Nov 1980 mein IBM ek aisa software chahta tha jisse apna personal computar chala sake aur is software ko banaane ke liye unhonne Microsoft ke saamne ek  prastaav rakha. IBM ke CEO se pahli mulaqaat ke waqt kisi ne Gates ko office ka ek worker samaj kar unhe sabko coffee pilane ko kaha us waqt Bill kaafi javaan dikhte the aur jaldi hi IBM unse prabhaavit ho gaye aur Gates ne unhe software banaane ke liye raazi kar liya, ki ve unke software se judi saari jarurate puri kar lenge. Lekin pareshaani yah thi ki Microsoft company IBM ke liye Basic Operating System nahi bana paayi jisse IBM ke naye computer ko nhi chala sake, lekin yah koi ant nahi tha.


    Gates ne ek aisa opareting system khareeda jo is prakaar bana hua tha jo ki IBM ke personal computre ke samaantar kaam karta tha. Unhonne us opareting system ke devlopers se mil kar pura Licence, Microsoft ke naam karne ko kaha lekin unhen IBM ke saude ke baare kuch bhi nahi bataya. Company ne baad mein Microsoft par mukadma chalaya ki unhonne important information (IBM ki deal) unse chhupa kar rakhi.

    Gates ne gupt rakam dekar muqadma khaarij karava diya yah kahkar ki unhonne koi galat kaam nahin kiya.

    Gates ne IBM PC ko chalaye aisa anukool software khareeda aur khareede software ko IBM ko $ 50,000 mein bencha jo ki uski asli keemat the.

    IBM, Bill se us Operating system ka source code bhi chahta tha jo unke operating system chalane ki information un tak pahuncha sake.

    Yah sab ho jaane ke baad is Gates ko us software ka License mil gaya aur us O.S. ka naam rakha MS-DOS.

    Microsoft ne isee ke saath ek aur software banaya jiska naam tha Softcard jo Microsoft ke Basic ke saath Apple 2 machine mein bhi kaam karta tha.

    In 1978-1981 ke bich Microsoft ki growth dhamakedaar thi aur unka staff 25 se badhkar 128 ho gaya tha. Unka profit bhi $4 million se badhkar $16 million tak pahunch gaya tha. 1981 ke bich mein Bill Gates Microsoft ke President ke saath-saath Microsoft ke Chair-man ban gaye the aur Allen, Executive Vice President ban gaye the.

    1998 tak Microsoft ka business duniyabhar mein failh chuka tha unke Office bhi Great Britain aur Japan mein khul chuke the usi ke saath duniya ke 30% computer unhi ke banaye gaye software par chal rahe the. Lekin 1983 mein Microsoft ki ek aur uske foundation se judi news aayi ki Paul Allen, Hodgkin’s naamak beemaari se peedit ho gaye the. Vaise unka cancer ek saal ke treatment ke baad chhut gaya tha lekin unhonne usee saal microsoft ko isteepha de diya tha.

    Har jagah yah afvaah failee kee Allen ne Microsoft Company kyu chodi, kuch logo ne kaha Bill ne unhe baahar kiya, to kuch ne kaha yah Allen ka zindgi badal dene vaala anubhav hoga aur shaayad unhen laga kee unke paas aur bhee kayi mauke hai jaha par vo apna time aur paisa invest kar sakte ha.

    Microsoft Ka Invention

    Haalanki Apple, Microsoft ki mukable mein hone ke bavjood 1981 mein Apple ne unke Macintosh Computer ke software Devlopment karne ke liye Microsoft ko madad ke liye invite kiya. kuch devlopers, Microsoft devlopment aur Macintosh ke liye banaye ja rahi Microsoft Application dono mein shaamil the.

    Isi gyaan aur soch ko saajha karne ki vajah se Microsoft ne window ka avishkaar kiya.

    Window aisa system tha jo mouse ke through chalta tha jo graphics ke base par text aur image ko screen par dikhata tha. Window MS-DOS se bilkul alag tha jaha MS-DOS mein sabhi text screen par chode ke roop mein dikhai hote the aur print karte time yah pata nahi chalta tha ki kaun sa document print karna hai. Is problem ko door karne ke liye Microsoft ne window banaaya jo user ko document graphics ke roop mein dikhaya karta tha, jisse use Use(Paryog) karne mein aasani ho gayi. Isi vajah se bahut logo ne yah window khareeda. Bill ne  advertising  mein yah kaha ki Microsoft ek aisa operating system taiyaar kar raha hai jo image ko graphics ke roop mein dikha kar computer ke kaam ko aasaan banayga. Aur uska naam windows hoga. Aur vah MS-DOS system par aadhaarit PC Software par chal jaayega. Aur is ghoshna ke do saal baad windows launch kiya. 1987 mein Micro-Soft ke pratyek share ki keemat $ 90.75 the tab Bill sabse ameer banne ke kareeb pahuch chuke the aur 1999 mein jab stock ki keemat high hui tab $101 billion ke saath Bill duniya ke sabse ameer vyakti ban gaye.

    Bill’s  Philanthropic Efforts

    Bill ko duniya mein falee huyi kayi Universities se Sammaan Puruskaar mila Fab.2014 mein Bill ne Chairman ke pad se hatkar khud ko ek nayi position jo kee Technology Advisior ki thi dene ki ghoshna ki aur Bill ne 2014 mein bharat ke 46 saal ke Satya Nadella ko CEO banaya.

    2006 Bill ne apne Micro-soft ke kaam karne ke samay ko chhodkar, apna pura time foundation ke saath bita sake.

    Bill Gates ka Microsoft Company mein aakhri din 27, June 2008 tha.

    Sab milakar unhe jindgi mein yah puruskar mila hai ki aaj ve duniya ke sabse kaamayaab aur rich business man hai. Aur unki kaabiliyat ki misaal duniya ke itihaas mein chhap gayee hai. Ek achhe business man hone ke saath hi unhe unke maanav premi svabhaav ke kaaran aur anaginat dhan sampatti daan karne ke liye kayi puruskaaron se navaaja gaya hai.


    Agar aapko hamari yeh post pasand aayi ho ya isse related ko problem ho toh aap humhe niche diye huye Comment box mai bta sakte h or humhe social media pr bhi follow kr sakte h.

    No comments