• Breaking News

    Ratan Tata Biography in Hindi


    Ratan Tata Biography in Hindi



    Ratan Naval Tata ka janm 28 Decembar 1937, ko Mumbai maai hua! Ratan naval Tata Tata Groups ke pahle President the, jo India ki sabse badi Commerical Group hai, Tata comapny ki shuruaat Jamshedji Tata ne kee aur unke parivaar ki peedhiyon ne use aage badhaaya!

    1971 mein Ratan Tata ko National Radio aur Electronics Company Limited (Nelko) ka Direct-In-Charge banaaya gaya, ek company jo ki bahut hi kathinayi ki sthiti mein thee. Ratan ne Advice di ki company ko Consumer Electronic ke bajaye High Technology product  ke vikaas mein invest karna chaayie kyoki isne pahle kabhi jyada profit nahi kamaaya tha.


    Iske alawa, jab Ratan ne kaam ka bhaar sambhaala, Consumer Electronics Nelko ki bazaar mein hisse daari 2% thi aur ghaata bikree ka 40% tha. Phir bhi, JRD ne ratan ki advice k maan liya.

    1972 se 1975 tak, Nelko ne apni bazaar mein hissedaari 20% tak badha li aur apna ghaata bhi pura kar liya. Lekin 1975 mein, bharat ki Prime Minister Indra Gandhi ne Emergency sthiti ghoshit kar dee, jiski vajah se bikri me giraavat aa gayi.



    Iske baad 1977 mein union ki samasyaayen huyi, isliye maang ke badh jaane par bhi production mein koi sudhaar nahi ho paaya. Tata ne union ki hadtaal ka saamna kiya, saat mahine ke liye company mein taala laga bhi diya gaya.



    1977 mein Ratan ko Empress mills sompa gaya, yah Tata ki kapada mill thi. Jab unhonne company ka kaam sambhaala, yah Tata Groups ki us samay beemaar ikaiyon mein se ek thee. Ratan ne ise sambhaala aur yaha taak ki ek profit kamaane ki ghoshna bhi kar dee.



    Ratan ke kahne par, kuch invest kiya gaya, lekin yah paryaapt nahi tha. Kyoki mote aur madhyam Cotton kapade ke liye bazaar bilkul alag tha (jo ki Empress mill ka total production tha), Empress ko bhaaree nuksaan hone laga. Bombay house, Tata Head Office, aur dusri company ke fund ko invest karne ke liye taiyaar nahi the, jise lambe samay taak dekhbhaal kee jarurat thi.

    Isliye, kuch Tata ke Directors, Nani Palkhivala ne ye phaisala liya ki 1986 me Tata ki mill ko band kar diya gaya. Ratan is phaisle se bahut naaraaz the aur baad mein Hindustan Times ke ek interview mein unhonne daava kiya ki Empress ko mill jaaree rakhne ke liye sirf 50 lakh rupye kee jarurat thee.

    1981 mein, Ratan Tata Industry aur Group ki alag holding company ke President banaye gaye, 1991 mein unhonne JRD se group ke Chairman ka kaam sambhala. Tata ne puraane guardon ko bahaar nikaal diya aur young person ko jimmedaariyaan dee gayi. Tab se lekar, unhonne, Tata Group ke structure ko hi badal diya hai.





    Ratan ke Guidance mein, 1998 mein tata motors ne apni pahli car tata indica ko bazaar mein utaara. Tata company duniya ki fifth sabse bana Steel Consumer Institution mila.





    Ratan Tata ka sach hua sapna unki Tata Nano Car 2007



    Ratan Tata ka sapna tha ki Rs.1,00,000 ki laagat ki  Car banayi jaye. New Delhi mein Auto Ekspo mein 10 January, 2008 ko is car ka udghaatan kar ke unhonne apne sapane ko pura kiya. Tata Nano ke 3 model ki ghoshna ki gayi aur Ratan Tata ne sirf 1 lakh rupaye ki keemat ki car bazaar ko dene ka vaada poora kiya!

    26 march 2008 ko Ratan Tata ke under mai Tata Motors ne Ford motor company se Jaguaa aur Land Rover ko khareed liya. British vilaasita ki prateek, Jaguar aur Land Rover 1.15 Arab pound ($ 2.3 arab), mein kharidi gayi.



    Early life



    Ratan Tata ek sharmeele vyakti hain, samaaj ki jhoothee chamak damak mein vishvaas nahi karte hai, saalon se Mumbai ke Colaba jile mein ek kitaabon aur kutto se bhare huye bachelor flait mein rah rahe the. Ratan Tata ne apan naya uttaraadhikaaree chun liya hai. Cyrus Mistry Ratan Tata ka sthaan lenge lekin puri tarah unki jagah lene se pahle vo ek saal tak unke saath kaam karenge. Decembar 2012 mein vo puri tarah Tata Group ki  jimmedaari sambhaal lenge. Pallonji Mistry ke chhote bete aur Shapoorji - Pallonji ke prabandh nideshak Cyrus Mistry ne Londan ke Imperial college se Civil Enginerring mein Graduation aur Londan Business School se prabandhan mein degree lee hai.




    Award And Achievement


    India ke 50th Republic Day samaaroh par 26 january 2000, Ratan Tata ko Teesre Naagrik Alankaran Padam Bhushan se sammaanit kiya gaya. Unhe 26 January 2008 India ke dusre Sarvoch Naagrik Alankaran Padam Vibhushan se Sammaanit kiya gaya. NASSCOM Global Leadership Award 2008 praapt karne vaalon mein se ek the ve. Ye Award unhe 14 february 2008 ko mumbai mein ek Samaaroh mein diya gaya. Ratan Tata ne 2008 mein Tata parivaar kee or se Paropakaar ka Caarnaigee Padak praapt kiya.


    Agar aapko hamari yeh post pasand aayi ho ya isse related ko problem ho toh aap humhe niche diye huye Comment box mai bta sakte h or humse social media pr bhi follow kr sakte h.

    No comments